Bhor ki pehli kiran dheere se jagmaga rahi hai.
Jaise mann main ek nayi umang jaga rahi hai.
Ugte sooraj ki lalima ka ho raha hai aagman,
Nirasha ka sannata jaise nigalti ja rahi hai.
Pakshiyon ki karval se gungunata hai aakash,
Nadiyon ki dhar bhi jaise kal kal ga rahi hai.
Koyal ki aawaaj yaa maszid main ho namaz,
Nisha samapti ka yeh sandesha la rahi hai.
Shant aakash main dhundlate hai kuch bache taare,
Oos ki boondian bhi ab pattiyan bhiga rahi hai.
Raat ka andhiyara bhi hai ab bus mitne ko,
Neend bhi aakhon se ab gumti ja rahi hai.
Beeti raat ke kuch swapn hai adhoore se,
Aasha ka ek naya sawea la rahi hai...!!!