Sunday, March 18, 2012

Soyi Soyi Inn Aakhon Main...

Soyi Soyi Inn Aakhon mai
Sapne Aksar Jaga Karte Hain..

Kabhi Khushiyon ki Saugaat Bankar
Kabhi Umeedon ki Bagia Bankar
Phool Aksar yanhi Khila Karte Hain

Kabhi Mehakti Saason ki Sugandh lekar
Kabhi Ehsaason ki Khushbu bankar
Mausam ki tarah Aaya Jaya Karte Hain

Kabhi Taaron ki chaanv bankar
Kabhi Poonam ka Chand nikalkar
Raat ko yoon hi mehkaya Karte Hain... :)

Soyi Soyi Inn Aakhon Main...