Raat bhar yoon hi aksar jaagta raha hoon main.
Jindgi ke sach ko sada nakarta raha hoon main.
bhooli bisri yaadain aur kuch beete pal,
Kitna hansee lagta hai woh yaadon ka kal,
Sookhe patton ko kitaab main sambhalta raha hoon main.
Pathik bhramit hota aksar chalte raah main,
Vichlit hota hai mann naye sur aur taal main,
Phir bhi vahi purane geet gungunata raha hoon main.
Bhram ka gehra saagar hai faila charon aur,
Chand ke sapno main jaise khoya ho chakor,
Tamannaon ke seeshmehal hi banata raha hoon main.
Bejaan si hai iss dil main basi dhadkan,
Naye kadam chalne se kyon katrata hai mann,
Apne aaine se hi chehra chupata raha hoon main.
No comments:
Post a Comment