Friday, November 13, 2009

Barsaat ke MAUSAM main...



Baadlon ki umdan se kuch fuhaar aati hai.
Saawan ki jhadi har taraf chaa jati hai.

Palkhon par boondon se dhundlati nazar,
Anchue anjane hazaron khwaab saja jati hai.

Sarsarati si chue badan ko matwaali pawan,
Tan mann ko umang se bhar jati hai.

Chap chap karte paani ke cheente,
Nadia ki dhaar bhi machal si jati hai.

Indradhanushi rangon se nahaya hua aasmaan,
Sooraj ki kirne na jane kanha gum jati hai.

Mel milaap ka yeh mausam hai suhana sa,
Doston se saare gile shikwe mita jati hai.


No comments:

Post a Comment